Scared


Manawa mein mere aandhi hai uthi, bas stubdh khadi hoon main,
saanson mein paar apani hi saans, nishabd khadi hoon main,
duniya se jeeti jeeti, khud se haari bas dhwast khadi hoon mein,
aaina main aur aks main, madmast khadi hoon main,
cham cham cham cham , antar mein gunje divas raat,
ek shunya shunya, vishal maaya ka madhyam mantra jaal,
mann ki dasha se ladati main phirati vishwast khadi hoon main,
mari laaj main hoon, chunar bhi main hoon,
main dhwast dhwast, main nasht mast, main saral main,
hai shaam shwet baadal mere, nirjhar si jhari hoon main,
andhiyaari raat, waqt ke baad bhari hoon main,
kanchan ki kaaya apna hai saaya bas hoon main,
lakadi mein gili, simi simi tham thamke chali hoon main,
hai maaya maaya hai chhaaya chhaaya aatma main,
nistubdh khadi hoon main, nishabd khadi hoon main,
vishwast khadi hoon mein…..

Megha.

Trackback URL

Comments are closed.